1. Hamari adalaton mein justice nahi, judgement hota hai … insaaf nahi, faisla hota hai

2. Aaj imaandaar woh hai jiski baimaani pakdi nahi gayi … aur begunah woh hai jiska jurm pakda na gaya ho

3. Hamara kanoon andha hai … issi liye hamara insaaf bhi andha hai … hum sochte kuch aur hai aur hum karte kuch aur hai … kanoon sunta kuch aur hai aur insaaf karta kuch aur hai

4. Har ghadi chashm-e-kharidaar mein rehne ke liye … kuch hunar chahiye bazaar mein rehne ke liye … badnaami se shohrat ka woh rishta hai ke log … nange ho jaate hai akhbaar mein rehne ke liye

5. Imaandaar woh hai jisse baimaani karne ka mauka na mila … aur begunah woh hai jisse jurm karne ka mauka na mila

6. Hona ek din sabka hisaab hai … zindagi karamo si likhi ek kitaab hai

7. Mehfil mein jalate hai diya doosre log … lete hai ujalon ka maza doosre log … mujrim kabhi pakde nahi jaate … lekin paate hai adalat se saza doosre log

8. Is duniya mein koi bhi banda aisa nahi hai … jisne apni life mein koi apradh nahi kiya ho

9. Kanoon sirf kanoon hai … ya toh toda jayega, ya paala jayega … lekin har surat mein maana jayega

10. Insaaf kagaz ke tukdon par nahi hota hai … aapke kitaabon mein nahi hota hai … adalati kalam ki siyahi se woh nahi hota hai … insaaf hota hai insaano ke dil par, unke zehan par, unki rooh par

11. Vyavastha se gunehgar bante honge … lekin gunahon ko vyavastha ki pratishtha dene ka kanoon ko koi haq nahi hai … gunah ki vyavastha nahi ho sakti

12. Gunah jitna bhi sangeen ho, saza bhi utni hi sangeen honi chahiye … gunehgar jitna bereham ho, insaaf bhi utna hi bereham hona chahiye

13. Nyay agar jeevan ka adarsh hai … insaaf agar hamare samvidhan ka maulik adhikar hai … toh phir usse vyavastha, parampara aur paristithiyon ka ghulam mat banaiye