•  Kisaan beejh issi liye boohta hai taaki ek din fasal kaat sake … aur rajneeti mein bhi bakra issi liye paala jaata hai taaki samay aane par uski qurbaani di jaa sake
  • Ramji ke liye aasaan tha Ravan ko maarna … uska dus maatha tha par dikhta tha … yahan system ke Ravan ka naa jaane kitna maatha hai, kitna munh hai, kitna aankh hai … aur jab bhi koi munh kholta hai toh gareeb ki bali maangta hai … uska adhikaar cheenta hai … kaise lade is system se
  • Jiske haath mein nyay dene ka aadhikar ho aur nyay na de … woh hoth hai asal mritak
  • Galati sudaarne ka matlab hota hai galati sweekarna … hamare system ka masla galati sudaarne ka nahi, galati sweekarne ka hai
  • Kuch nahi hai magar hai sab kuch bhi … kya ajab cheez hai yeh kaagaz bhi … baarishon mein hai naav kaagaz ki … sardiyon mein alaav kaagaz ki … aasman mein patang kaagaz ki … saari duniya mein jung kaagaz ki
  • Kabhi akhbaar, kabhi khat kaagaz … rozmarra ki zaroorat kaagaz … aane jaane ki sahulat kaagaz … jeene marne ki izazat kaagaz … pyar ki chittiyan bhi kaagaz ki … kaam ki arziyan bhi kaagaz ki … jashan mein jhandiyan bhi kaagaz ki … jism ki mandiyan bhi kaagaz ki … bane naaton ka bhi gawah kaagaz … kahin shaadi, kahin nikah kaagaz … kahin talaak ka gunah kaagaz … banaye aur kare tabah kaagaz … cheen le khet, ghar, zameen, kaagaz … poche aankhon ki bhi nammi kaagaz … har jagah yoon hai laazmi kaagaz … jaise ghar ka hai aadmi kaagaz … kuch nahi hai, magar hai sab kuch bhi … kya ajab cheez hai yeh kaagaz bhi
  • Yeh duniya ek akhada hai … jhe ma sach aur jhooth naam ke dui pehalwan lad rahe hai … aur jab tak sach naam ka pehalwan jhooth naam ke pehalwan ko pachaad nahi deta … tab tak yeh ladai jaari rahegi
  • Agar insaan haare bhi na … toh uh kaam karke jisse woh dil se karna chahe
  • Suna hai sach aur jhooth ki jung mein jeet hamesha sach ki hoti hai … aur apne desh ka sach toh yeh hai … ki jeet ussi ki hoti hai jiske paksh mein kaagaz hota hai … itni taqat hai apne system mein kaagaz ki … aur kaagaz ki is taqat se takrana na toh koi mamooli kaam hai aur na hi kisi mamooli aadmi ka kaam hai
  • Yeh karza joh hai na kutte paalne jaisa hai … kehne ke liye suraksha karta hai … par roz bow-bow karke roti maangega … aur joh ek din roti na do na toh kaat dega yeh