•  Jab iraada marne maarne ka ho … toh fikar nahi, taiyaari karte hai
  • Dhokhe ki khaasiyat hai … ki dene wala aksar koi khaas hi hota hai
  • Bandook toh sirf shaunk ke liye rakhta hoon … darane ke liye naam hi kaafi hai
  • Jab khone ke liye kuch nahi hota na … toh paane ko poori duniya hoti hai
  • Meri goli se bachne ke liye tujhe baar-baar khushkismat hona padega … aur mujhe sirf ek baar
  • Hum dono ek hi jagah khade hai … lekin fark sirf itna hai … tu neeche jaa raha hai aur main upar
  • Patthar ka jawab phool se doonga … lekin phool uski arthi pe hoga
  • Shikayat apno se hoti hai … aur shukriya uske alava main kisi ka nahi karta
  • Yahan raj ussi ka chalta hai jiski himmat uski taqat se badi ho
  • Aaj se tera kissa khatam aur meri kahani shuru
  • Agar zindagi mein aage badna chahte ho na … toh do baatein yaad rakho … tumhe kaun chahiye aur usse kya chahiye
  • Guzra hua waqt aur aane wala waqt … dono ko kal kehte hai … yeh faisla humein karna hai ki hum kis kal mein rehna chahte hai
  • Yeh tumhari lakshmanrekha hai … Sita ne paar ki toh Ramayan chiddi thi … tum karoge toh Mahabharat
  • Main umeed par nahi … zid par jeeta hoon
  • Taqdeer sirf utna hi likhti hai, jitna hum usse likhne dete hai
  • Kismat gaadi ke gear jaisi hai … agar time par badal diye toh zindagi ki speed badh jaati hai
  • Agar tu ungli nahi karta … toh apni bhi ginti shareefon mein hoti
  • Khatra agar uthaya na jaaye, toh aur badh jaata hai
  • Jungle mein sannate ka matlab jungle mein sher hai … aur log khauf se jungle jaate nahi … magar sher jab jungle chhodkar khule-aam shehar mein shikaar karne lagta hai … toh poora shehar usse maarne ke liye khada ho jaata hai
  • Teri gaadi bulletproof hai … tu nahi
  • (Sabar kar, tera bhi time aayega) – Time toh har kisi ka aata hai … mera daur aayega