•  Yeh ladai logon ke liye hai … apne swabhimaan ke liye hai … is ladai mein hum gir sakte hai, zakhmi ho sakte hai, magar hum peeche nahi hat sakte
  • Aaj tune jis tarah bhari sabah mein mera apmaan kiya hai … waisa hi cheer haran Kauravon ne Draupadi ka kiya tha … woh satta ki ladai bhi woh jeeti thi … aur yeh satta ki ladai bhi main jeetungi … kyun ki Mahabharat ka doosra naam hai Jaya
  • Baat aise karo joh dil ko lage … dil par nahi
  • Jeet agar sar pe chhad jaye toh haar se bhi buri ban sakti hai
  • Sach aur khushi dono insaan ko ek saath nahi milti
  • Politics bhi pyar ki tarah hai … dikhana aasaan hai magar nibhana mushkil
  • Medu vada mein hole angoothe se zyada accha padta hai … ungli nahi karte
  • Parde par film aurat ke bina pheeki lagti hai … magar jab woh aurat power ki position pe aati hai toh sabko mirchi lagti hai
  • Politics bahut kuch deti hai … paise, power, position, pehchaan … magar bahut kuch le bhi leti hai … aur issi lein dein mein insaan kabhi kabhi bahut door nikal jaata hai … kabhi khud se aur kabhi apno se