• Ek Indian businessman wohi hai joh seedha bhi ho aur tedha bhi … joh aastik bhi ho aur nastik bhi … joh kapti bhi ho aur sacha bhi … sab kuch ek saath
  • Gareeb ke liye upar aane ke sirf do hi raaste hai … jurm ya politics
  • Purane dino mein jab Hindustan sone ki chidiya hua karta tha … tab yahan hazaron jaatiyan thi … par aaj kal sirf do tarah ki jaat hai … pehli jinka pet bada hai aur doosri jinki bhookh … jinki kismat mein do cheezein hai … ya toh nighalo ya niwala bano
  • Ghulami na karne ki azaadi, ek din, ek ghante, ek minute, ek pal ke liye bhi bahut hi keemti hai
  • Bharat ek desh mein do duniya hai … ek ujaale ki aur ek andhere ki
  • Hamare desh mein chahe peene ka pani, bijli, gutter, sadak, sarkari busen, safai, sachai, salika aur samay ki keemat kuch na ho … par businessmen zaroor hai