•  Saamne koi bhi ho … main toh bas maar doongi
  • Darr asal mein is baat ka nahi hai ke hum bade sapne dekhte hai joh poore nahi hote … asal mein darr toh is baat ka hai ke hum chote sapne dekhte hai joh poore ho jaate hai
  • Woh joh matki phodne ka khel hota hai na … matki phodta toh ek hi hai … lekin usse us oonchai tak pahunchane wale bahut kandhe hote hai … mukaam saamne dikhta hai … aise mein bedhadak chalaang lagani chahiye … phisalkar gir padhe toh wohi kandhe sambhal lenge … lekin agar matki tak pahunche aur phod dali … toh itihaas rach doge
  • Number one ke sapne paalna khatre se khali nahi hota
  • Game jeetne ke liye tum kya karti ho yeh important nahi hai … important hai ki game jeetne ke liye tum kya chhodti ho
  • Raaste par chalna ek baat hai Saina … aur raasta banana doosri baat hai … tu na beta woh doosri baat karne ki soch
  • Mera dhyay ekdum saral … saamne wale ko maat dena
  • Mujhe woh champion nahi chahiye joh mann mein jeet ke baare mein sochta hai … mujhe woh champion chahiye joh jeet ke alava aur kuch nahi sochta hai