•  Signal pe khada hawaldar sau rupaye mein meherban hai … naam tumhara Khan toh aatankvadi poora khandan hai … wahan apne hi ghar mein pankhe pe latak raha kisaan hai … lekin mera desh mahaan hai
  • Meri hathkadi aur mere bandook ki goli … dono pe uska naam likha hai
  • Har gunehgar ko aisi maut maroonga … ki agle janam mein maa ki kok se kya … baap ki top se bhi nikalne se darega
  • Yeh jung khaki ya khadi pehenkar nahi ladi ja sakti … iske liye kafan pehankar nikalna hoga
  • Tann, mann, dhan se badkar jan gan man
  • Aurat ki joh izzat na kare woh har mard murga hai … joh nau mahine kok mein paale woh Mariam hai, woh Durga hai
  • Dono haathon ki zaroorat taali bajane ke liye namardon ko hoti hai … geedaron se nipatne ke liye sher ka ek panja hi kaafi hai
  • Tu bharatiya naari hai … thaan le toh sab pe bhaari hai
  • Ab main jee kholkar tujhe maroonga aur tu daant phaadkar zor-zor se hasega … agar teri hasi ruki toh aur maroonga
  • Mera funda dandi nahi hai … mera funda danda hai … Gandhi ji ki hamesha jai ho … lekin Bhagat Singh mera banda hai
  • Police chahti hai meri kalai ka naap … hathkadi ke liye … jallad chahta hai mere gale na naap … phansi ke liye … aur baimaan darta hai sunke mere jigre ka naap … chappan inch
  • Do takke ki jaan lene chappan inch ka jigra nahi … chappan kilo ka hathoda chahiye
  • Agar begaani shaadi mein Abdullah deewana banke ghus gaya … toh doli ke uthne se pehle sarkari goli se woh uth jayega
  • Aaj ke baad agar kisi ladki ki izzat nahi ki toh aisa haal karunga … ki zindagi bhar peeche se mootega … kyun ki aage ka tootega
  • Maa, behen, biwi, devi … ek aurat ka astitva sirf inhi naamo se kyun hota hai … doctor, judge, lawyer, chief minister, prime minister kyun nahi … ek aurat agar ghar ki rasoi chala sakti hai … toh desh bhi chala sakti hai
  • Sher ki poonch pe pair aur Azaad ki moonch pe haath nahi rakhte … sher gusse se dahaadta hai … Azaad phaadta hai
  • Kal nahi aaj aayega … tere liye bhi yamraj aayega
  • Noton ke alava kuch nahi badla … aaj bhi desh ka gareeb nanga hai … ab main ek vaada karta hoon … ab ya toh corruption mitega ya beimaan ka lahu bahega
  • Jeevan ka ek hi satya hai … jaisa bhoyega waisa kaatega … joh auron ke saath kiya, wohi muqaddar tujhe baatega
  • Ashok Stambh, joh Bharat ka rashtriya chinh hai … us Ashok Stambh ki kasam .. tujhe roka nahi toh usse maathe pe pehenne ka mujhe adhikaar nahi
  • Yahan aisi maa’en hai joh tum jaise beton ko janam deti hai … joh hamesha sachai ke liye ladte hai … haarte hai lekin rukte nahi … chahe kuch bhi ho jaye, tootte nahi
  • Jis desh ki maiyya Ganga hai … wahan khoon bhi tiranga hai
  • Bachpan se har sacha sardar do hi cheez toh seekhta hai … gurbani aur qurbani
  • Uske bazuon mein itna dum hai … ki uski maar ke liye na bana koi marham hai
  • Tujhe chupne ki jagah na milegi shamshan mein … na Pakistan mein
  • Hero ne entry maari … public ne seeti maari … ab toh guarantee aage hai maara-maari