Singer: Shankar Mahadevan

Lyrics: Javed Akhtar

Music: Shankar Ehsaan Loy
Music Label: Zee Music Company

Lyrics:

Samaye ke panno pe likh rahi hai

Ye zindagi jo kahani

Hai kaise mod isme aane wale

Ye baat kisne hai jaani

Yahi zindagi hasaye

Yahi zindagi rulaye

Yahi zindagi de lori

Yahi zindagi jagaye

Yahi laati hai andhere

Yahi roshni bhi laye

Yahi jakham jakham kar de

Aur yahi marham lagaye

Har pal yaha naya sama

Naye zameen naye aasman hai

Kabhi to hai naram hawa

Aur kabhi garam aandhiyan hai

Aandhiyan hai

Tez chali re purvaiya

Din mein layi raat re

Tez chali re purvaiya

Bikhre hai phool aur paat re

To bas hairan hairan soche insan

Honi hai ab kya baat re

Bas hairan hairan soche insan

Honi hai ab kya baat re

Tez chali re purvaiya

Samaye ke panno pe likh rahi hai

Ye zindagi jo kahani

Hai kaise mod isme aane wale

Ye baat kisne hai jaani

Woh ankhein jo kahi nahi unke sapne 

Maine hai sambhal ke rakhe

Yaadon ne saari tasveerein aur dil ne

Dard hai kamaal ke rakhe

Apni dhadkano mein aur sanson mein

Maine jisko rakha hai zinda

Uski umeedon ko uske khwabon ko

Kaise hone dunga sharminda

Raahon mein the biche huye

Dekhe dekhe angare

Akash se pathar barse

Yeh sapne fir bhi na haare

Fir bhi na haare

Tez chali re purvaiya

Duniya lagaye hai ghat re

Tez chali re purvaiya

Dil nahi manata maat re

To bas hairan hairan soche insaan

Honi hai ab kya baat

Re to bas hairan hairan soche insaan

Honi hai ab kya baat re

Tez chali re purvaiya purvaiya

Tez chali re tez chali re

Tez chali purvaiya