Loriyan

Panther & Spectra

PANTHER & SPECTRA LORIYAN DETAILS

Panther & Spectra Loriyan Lyrics. Loriyan Song Sung By Indian Rapper Panther & Spectra On MTV Hustle 2.0 Television Show. Panther & Spectra Loriyan Is Indian Rap Song Labelled By KaanPhod Music. Panther & Spectra Loriyan Hindi Lyrics Released On October 22, 2022.

PANTHER & SPECTRA LORIYAN MUSIC VIDEO

PANTHER & SPECTRA LORIYAN INFO

Song : Loriyan

Artist : Panther & Spectra

Album : MTV Hustle 2.0

Genre : Hip-Hop

Label : KaanPhod Music

Language : Hindi

Release Date : 2022.10.22

PANTHER & SPECTRA LORIYAN LYRICS

Bheed Mein Main Kho Chuka Hoon Ho Gaya Main Laapata

Khud Se Khud Ka Arson Se Hua Nahi Hai Raabta

Ladd Jhagad Raha Hoon Iss Jahaan Se Kyun Main Khamakha

Hain Na Pata Aagey Jaane Ka Mujhe Bhi Raasta

Na Rone Ko Kona Miley Tab Bhi Muskurana Padta Hai

Hain Shikve Kaafi Shikayatein Kisi Se Ab Na Karta Main

Lage Na Dil Phir Bhi Dil Lagana Padta Hain

Manaye Na Koi Main Roothun Toh Kisi Se Ab Na Ladta Main

Daayre Laga Do Phirse Tum Koi

Sona Chahta Hoon Toh Tum Bhi Dhun Koi

Dhun Koi Suna Do

Dhun Koi Suna Do

Loriyaan Suna Do

Haan Ghar Mujhe Bula Lo

Dhun Koi Dhun Koi Suna Do

Maa Dhun Koi Suna Do

Loriyaan Suna Do

Haan Ghar Mujhe Bula Lo

Har Shaam Sirhane Ko Sehlati Sar

Woh Daant Thi Ya Phir Thi Meri Fikar

Woh Rok-tok, Thodi Nok-jhonk

Har Baat Pe Papa Ki Daant Ka Daar

Tu Deti Thi 10 Ka Note  

Toh Lagta Tha Mujhe Hoon Sabse Ameer Main

Aur Aaj Utha Paata Tera Nahi Phone 

Toh Lagta Hoon Sabse Gareeb Main

Galti Pe Kaan Tu Kheenchti

Kabhi Tu Daant Thi Peesti

Zindagi Jeene Ki Seekh Di

Khwaishein Meri Khareed Di

Ab Haathon Mein Ghadi Hain Mehengi

Par Dene Ko Tujhe Hai Waqt Nahi

Zimmedaar Tune Itna Banaya Ki

Chuka Paaya Tera Farz Nahi

Ho Gaya Hoon Shor Mein Main Gumm Kahin

Sona Chahta Hoon Toh Tum Bhi Dhun Koi

Dhun Koi Suna Do

Dhun Koi Suna Do

Loriyan Suna Do

Haan Ghar Mujhe Bula Lo

Dhun Koi Dhun Koi Suna Do

Maa Dhun Koi Suna Do

Loriyan Suna Do

Haan Ghar Mujhe Bula Lo

Maa, Kiski Godi Mein So Jaunga Main

Maa, Shikayatein Kis Se Lagaunga Main

Maa, Kiski Daant Se Ro Jaunga Main

Maa, Kya Bhookhe Pet Hee So Jaunga Main

Maa, Tu Kisko Loriyan Sunaati Hogi

Maa, Roti Ek Aur Kisey Khilaati Hogi

Maa, Tu Gusse Mein Kispe Chillaati Hogi

Maa, Tu Beta Ab Kisey Bulaati Hogi

Awaaz Teri Na Main Paa Raha Hoon Sun Koi

Sona Chahta Hoon Toh Tum Bhi Dhun Koi

Dhun Koi Suna Do

Maa Dhun Koi Suna Do

Loriyan Suna Do

Haan Ghar Mujhe Bula Lo

Dhun Koi Dhun Koi Suna Do

Maa Dhun Koi Suna Do

Loriyan Suna Do

Haan Ghar Mujhe Bula Lo