Ooi Maa Ooi Maa Yeh Kya Ho Gaya Lyrics from Parasmani is sung by Lata Mangeshkar. Ooi Maa Ooi Maa Yeh Kya Ho Gaya song lyrics are written by Farooq Qaisar while its music is given by Laxmikant Pyarelal.

Ooi Maa Ooi Maa Yeh Kya Ho Gaya Lyrics

Ooi maa ooi maa yeh kya ho gaya
Unki gali mein dil kho gaya
Bindiya ho to dhoondh bhi loon main
Dil na dhoondha jaaye

Ooi maa ooi maa yeh kya ho gaya
Unki gali mein dil kho gaya
Bindiya ho to dhoondh bhi loon main
Dil na dhoondha jaaye

Haaye dil na dhoondha jaaye

Ek din ki baat hai nadiya kinaare
Unse huye the chhup chhup ishaare
Ek din ki baat hai nadiya kinaare
Unse huye the chhup chhup ishaare

Kasam kha chuki thi
Main pyar na karungi
Main pyar ka kabhi bhi

Ikraar na karungi

Ab woh baatein aayein yaad
Dar hai ho na jaaun barbaad
Sheesha ho to tod bhi daalun
Dil na toda jaaye

Ooi maa ooi maa yeh kya ho gaya
Unki gali mein dil kho gaya
Bindiya ho to dhoondh bhi loon main
Dil na dhoondha jaaye
Ooi maa dil na dhoondha jaaye

Pyar ke raste piya
Bade unche neeche
Aaun main daud kaise
Tere peechhe peechhe

Pyar ke raste piya
Bade unche neeche
Aaun main daud kaise
Tere peechhe peechhe

Na thes lag jaaye
Ghoonghat gir jaaye
Ghoonghat jo sambhalun
To latt khul jaaye

Mushkil mein hai meri jaan
Tu kya samjhe oh naadan
Duniya ho to chhod bhi doon main
Pyar na chhoda jaaye

Ooi maa ooi maa yeh kya ho gaya
Unki gali mein dil kho gaya
Bindiya ho to dhoondh bhi loon main
Dil na dhoondha jaaye

Ooi maa ooi maa yeh kya ho gaya
Unki gali mein dil kho gaya
Bindiya ho to dhoondh bhi loon main
Dil na dhoondha jaaye
Ooi maa dil na dhoondha jaaye

Ooi Maa Ooi Maa Yeh Kya Ho Gaya Song Detail

Song : Ooi Maa Ooi Maa Yeh Kya Ho Gaya



Album : Parasmani (1963)

Singer :

Lata Mangeshkar

Musician :

Laxmikant Pyarelal

Lyricist :

Farooq Qaisar