Nikle The Kabhi Hum Ghar Se Lyrics From Dunki is brand new hindi song sung by Sonu Nigam with music given by Pritam while lyrics are written by Javed Akhtar.

Nikle The Kabhi Hum Ghar Se Lyrics

Nikle The Kabhi Hum Ghar Se,
Ghar Dil Se Magar Nahi Nikla,
Ghar Basa Hai Har Dhadkan Mein,
Kya Karein Hum Aise Dil Ka,

Badi Door Se Aaye Hain,
Badi Der Se Aaye Hain,
Par Ye Na Koi Samjhe,
Hum Log Paraaye Hain,

Kat Jaaye Patang Jaise,
Aur Bhatke Hawayon Mein,
Sach Pucho Toh Aise,
Din Humne Bitaaye Hain,

Par Yeh Na Koi Samjhe,
Hum Log Paraaye Hain,
Yehi Nagar Yehi Hai Basti,
Aankhein Thi Jise Tarasti,

Yahaan Khushiyan Thi Kitni Sasti,
Jaani Pehchaani Galiyan,
Lagti Hain Purani Sakhiyan,

Kahaan Kho Gayi Woh Rang Raliyan,
Bazaar Mein Chai Ke Dhaabe,
Bekaar Ke Shor Sharaabe,

Woh Dost Woh Unki Baatein,
Woh Saare Din Sab Raatein,
Kitna Gehra Tha Gham,

Inn Sab Ko Khone Ka,
Yeh Keh Nahi Paaye Hum,
Dil Mein Hi Chupaaye Hain,

Par Ye Na Koi Samjhe,
Hum Log Paraaye Hain,

Nikle The Kabhi Hum Ghar Se,
Ghar Dil Se Magar Nahi Nikla,
Ghar Basa Hai Har Dhadkan Mein,

Kya Karein Hum Aise Dil Ka,
Kya Humse Hua Kya Ho Na Saka,
Par Itna Toh Karna Hai,

Jis Dharti Pe Janme The,
Uss Dharti Pe Marna Hai,
Jis Dharti Pe Janme The,
Uss Dharti Pe Marna Hai.

Song – Nikle The Kabhi Hum Ghar Se
Music – Pritam
Lyrics – Javed Akhtar
Singer – Sonu Nigam