Laila Majnu Lyrics from Geet is Hindi song in the voices of Asha Bhosle, Mohammed Rafi. Laila Majnu song lyrics are written by Hasrat Jaipuri, its tune is made by Kalyanji Anandji.

Laila Majnu Lyrics

Tujhko Majnu ki kasam samne aaja Laila
Aaj to aah ki taseer dikha ja Laila
Toone surat na dikhayi to yej surat hogi
Log dekhenge tamasha tere deewane ka
Deewane ka

Ho deewane teri aah badi kaam aa gayi
Laila tadap ke aaj lab-e-baan aa gayi

Na itna sitam mujhpe dhaya karo

Na itna sitam mujhpe dhaya karo
Zara apna
Zara apna jalwa dikhaya karo
Na itna sitam mujhpe dhaya karo

Aa meri majbooriyan tum zara jaan lo
Meri majbooriyan tum zara jaan lo
Ab khayalon mein
Ab khayalon mein humko bulaya karo

Meri majbooriyan tum zara jaan lo

Jala jaa raha hoon bacha lo mujhe
Jala jaa raha hoon bacha lo mujhe
Mere dil pe zulfon ka saaya karo
Na itna sitam mujhpe dhaya karo

Na talwaron se darte hain
Na angaron se darte hain
Mohabbat karne wale
Kab sitamgaron se darte hain

Hum to haste huye ulfat pe
Fida hote hain
Hum to haste huye ulfat pe
Fida hote hain
Hakk mohabbat ke
Hakk mohabbat ke
Sanam aise ada hote hain
Hum to haste huye ulfat pe
Fida hote hain

Mohabbat mit nahi sakti
Zamana kya mitayega
Na shahon se jhuki ulfat
Na shahon se jhuki ulfat
Zamana kya jhukayega

Nok-e-talwar pe bhi vaade wafa hote hain
Maut ki god mein
Maut ki god mein bhi sajde ada hote hain
Hum to haste huye

Kahan kahan ho
Kahan ho tum kahin se to
Mujhe awaz di hoti
Agar apna agar apna banaya tha
To karte intezaari bhi

Khuli rahin meri aankhein bhi
Baad marne ke
Ab isse badhkar bhala
Intezaar kya hoga

Tujhe khuda ki kasam
Yoon na chhod raahon mein
Tujhe khuda ki kasam
Yoon na chhod raahon mein

Main aa gayi main aa gayi
Main aa gayi mujhe lele
Tu apni baahon mein
Tujhe khuda ki kasam
Lele apni baahon mein

Apni baahon mein
Apni baahon mein

Laila Majnu Song Detail

Song : Laila Majnu



Album : Geet (1970)

Singer :

Asha Bhosle,

Mohammed Rafi

Musician :
Kalyanji Anandji

Lyricist :
Hasrat Jaipuri