Jaane Kyun Lyrics from Veer Zaara is sung by Lata Mangeshkar. Jaane Kyun song lyrics are written by Javed Akhtar while its music is given by Madan Mohan.

Jaane Kyun Lyrics

Jaane kyun khwaabon ka
Mausam hai aur main hoon
Mausam hai aur main hoon
Jaane kyun yaadon ki
Shabnam hai aur main hoon
Shabnam hai aur main hoon

Yaadein laayi hain
Khushiyan bhi aansu bhi

Jaane kyun ik aisa
Sangam hai aur main hoon
Sangam hai aur main hoon

Barse jo rang itne saare
Rangeen huye sab nazaare
Barse jo rang itne saare
Rangeen huye sab nazaare
Lekin mera dil kahin bhi

Lagta nahi bin tumhare

Tumko bas tumko dil
Dhhoondhe dil maange
Jaane kyun har lamha yeh
Sitam hai aur main hoon
Yeh sitam hai aur main hoon
Jaane kyun khwaabon ka
Mausam hai aur main hoon
Mausam hai aur main hoon

Yeh vaadi ab so gayi hai
Kohre mein hi kho gayi hai
Yeh vaadi ab so gayi hai
Kohre mein hi kho gayi hai
Saari fiza saans roke
Ghumsum si ab ho gayi hai

Saari duniya mein
Ab koyi nahi jaise
Jaane kyun bas mera
Humdam hai aur main hoon
Humdam hai aur main hoon
Jaane kyun yaadon ki
Shabnam hai aur main hoon
Shabnam hai aur main hoon

Yaadein laayi hain
Khushiyan bhi aansu bhi
Jaane kyun ik aisa
Sangam hai aur main hoon
Sangam hai aur main hoon
La la la la la la la la
Hmm hmm hmm aur main hoon

Jaane Kyun Song Detail

Song : Jaane Kyun



Album : Veer Zaara (2004)

Singer :

Lata Mangeshkar

Musician :

Madan Mohan

Lyricist :

Javed Akhtar