Dekho Rootha Na Karo Lyrics from Tere Ghar Ke Samne is Hindi song in the voices of Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi. Dekho Rootha Na Karo song lyrics are written by Hasrat Jaipuri, its tune is made by S D Burman.

Dekho Rootha Na Karo Lyrics

Dekho rootha na karo
Baat nazron ki suno
Hum na bolenge kabhi
Tum sataya na karo

Dekho rootha na karo
Baat nazron ki suno
Hum na bolenge kabhi
Tum sataya na karo

Dekho rootha na karo

Chehra to laal hua
Kya kya haal hua
Is adaa par teri
Main to paamal hua

Tum bigadne jo lago
Aur bhi haseen lago
Hum na bolenge kabhi

Tum sataya na karo
Dekho rootha na karo

Jaan par meri bani
Aap ki thehri hansi
Haaye main jaan gayi
Pyar ki fitnagari

Dil jalane ke liye
Thandi aahein na bharo
Dekho rootha na karo
Baat nazron ki suno
Hum na bolenge kabhi

Teri khushboo ne mere
Hosh bhi chheen liye
Hai khushi aaj hamein
Tere pehlu mein gire

Dil ki dhadkan pe zara
Phool sa hath rakho
Hum na bolenge kabhi
Tum sataya na karo
Dekho rootha na karo

Kya kahega yeh sama
In raahon ka dhuan
Laaj aaye mujhe
Mujhko laaye ho kahan

Hum tumhein maan gaye
Tum bade woh ho hato
Dekho rootha na karo
Baat nazron ki suno
Hum na bolenge kabhi
Tum sataya na karo
Dekho rootha na karo

Dekho Rootha Na Karo Song Detail

Song : Dekho Rootha Na Karo



Album : Tere Ghar Ke Samne (1963)

Singer :

Lata Mangeshkar,

Mohammed Rafi

Musician :
S. D. Burman

Lyricist :
Hasrat Jaipuri