Daman Mein Daag Laga Baithe Lyrics from Dhool Ka Phool is Hindi song in the voice of Mohammed Rafi. Daman Mein Daag Laga Baithe song lyrics are written by Sahir Ludhianvi, its tune is made by Datta Naik.

Daman Mein Daag Laga Baithe Lyrics

Wafa ke naam pe kitne gunah hote hain
Yeh unse poochhe koyi jo tabah hote hain
Haaye ho

Daman mein daag laga baithe
Daman mein daag laga baithe
Hum pyar mein dhokha kha baithe
Hum pyar mein dhokha kha baithe
Daman mein daag laga baithe

Haaye haaye

Chhoti si bhool jawani ki
Chhoti si bhool jawani ki
Jo tumko yaad na aayegi
Us bhool ke taane dede kar
Duniya humko tadpayegi

Uthte hi nazar jhuk jayegi
Uthte hi nazar jhuk jayegi ho

Uthte hi nazar jhuk jayegi
Aaj aisi thokar kha baithe
Hum pyar mein dhokha kha baithe
Daman mein daag laga baithe
Haaye ho haaye

Chahat ke liye jo rasmon ko
Chahat ke liye jo rasmon ko
Thukra ke ghuzarne wale the
Jo sath hi jeene wale the
Aur sath hi marne wale the

Tufaan ke hawale karke humein
Tufaan ke hawale karke humein ho
Tufaan ke hawale karke humein
Khud door kinaare ja baithe
Hum pyar mein dhokha kha baithe
Daman mein daag laga baithe
Haaye ho haaye

Lo aaj meri majboor wafa
Lo aaj meri majboor wafa
Badnaam kahani ban’ne lagi
Lo prem nishani paayi thi
Woh paap nishani ban’ne lagi

Duhkh deke humein jeevan bhar ka
Duhkh deke humein jeevan bhar ka ho
Duhkh deke humein jeevan bhar ka
Woh sukh ki sej saja baithe
Hum pyar mein dhokha kha baithe
Daman mein daag laga baithe
Haaye ho haaye

Daman Mein Daag Laga Baithe Song Detail

Song : Daman Mein Daag Laga Baithe



Album : Dhool Ka Phool (1959)

Singer :

Mohammed Rafi

Musician :
Datta Naik

Lyricist :
Sahir Ludhianvi