Description:

Song: Chup Gaye Sare Nazare

Movie: Do Raaste

Singer: Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi

Lyrics: Anand Bakshi

Music: Laxmikant-Pyarelal
Music Label: Saregama India Ltd

Lyrics:

Chup gaye saare nazaare 

Oye kya baat ho gayi

Chup gaye saare nazaare 

Oye kya baat ho gayi

Tune kajal lagaya

Din mein raat ho gayi

Tune kajal lagaya

Din mein raat ho gayi

Mil gaye naina se naina

Oye kya baat ho gayi

Mil gaye naina se naina

Oye kya baat ho gayi

Dil ne dil ko pukara

Mulaqat ho gayi

Dil ne dil ko pukara

Mulaqat ho gayi

Kal nahin aana

Mujhe na bulana

Ke marega taana zamana

Kal nahin aana

Mujhe na bulana

Ke marega taana zamana

Tere honthon pe raat yeh bahana tha

Gori tujhko to aaj nahin aana tha

Tu chali aayi duhayi 

Oye kya baat ho gayi

Tu chali aayi duhayi 

Oye kya baat ho gayi

Maine chhoda zamana

Tere saath ho gayi

O maine chhoda zamana

Tere saath ho gayi

O tune kajal lagaya

Din mein raat ho gayi

Ambua ki daali

Pe gaaye matwali

Koyaliya kaali niraali

Ambua ki daali

Pe gaaye matawali

Koyaliya kaali niraali

Saawan aane ka kuch matalab hoga

Baadal chhane ka koi sabab hoga

Rimjhim chhaye ghatayein

Oye kya baat ho gayi

Rimjhim chhaye ghatayein

Oye kya baat ho gayi

Teri chunari laharayi 

Barasat ho gayi

Teri chunari laharayi 

Barasat ho gayi

Dil ne dil ko pukara

Mulaqat ho gayi

Chhod na baiyan padun tere paiyan

Taaron ki chhaiyan mein saiyan

Chhod na baiyan padun tere paiyan

Taaron ki chhaiyan mein saiyan

Ik woh din tha milati 

Na thi tu ankhiyan

Ek yeh din hai tu jaage 

Saari saari ratiyan

Ban gayi gori chakori 

Oye kya baat ho gayi

Ban gayi gori chakori 

Oye kya baat ho gayi

Jiska dar tha bedardi 

Wahi baat ho gayi

Ho jiska dar tha bedardi 

Wahi baat ho gayi

Chup gaye saare nazaare 

Oye kya baat ho gayi

Dil ne dil ko pukara

Mulaqat ho gayi

Dil ne dil ko pukara

Mulaqat ho gayi