Chandni Raatein Pyar Ki Baatein Lyrics from Jaal is Hindi song in the voices of Hemant Kumar, Lata Mangeshkar. Chandni Raatein Pyar Ki Baatein song lyrics are written by Sahir Ludhianvi, its tune is made by S D Burman.

Chandni Raatein Pyar Ki Baatein Lyrics

Yeh raat yeh chandni phir kahan
Sun ja dil ki dastaan

Chandni raatein pyar ki baatein
Kho gayi jaane kahan
Chandni raatein pyar ki
Baatein kho gayi jaane kahan
Yeh raat yeh chandni phir kahan
Sun jaa dil ki dastaan

Aati hai sada teri
Toote huye taaron se
Aahat teri sunti hoon
Khamosh nazaron se
Bheegi hawa umdi ghata
Kehti hai teri kahaani
Tere liye bechain hai
Sholon mein lipti jawani

Seene mein balkha raha hai dhuan
Sun jaa dil ki dastaan
Yeh raat yeh chandni phir kahan
Sun ja dil ki dastaan

Chandni raatein pyar ki baatein
Kho gayi jaane kahan

Lehron ke labon par hai
Khoye huye afsane
Gulzaar ummeedon ke
Sab ho gaye veerane
Tera pata paaun kahan
Soone hain saare thikane
Jaane kahan ghum ho gaye
Jaake woh agle zamane

Barbaad hai aarzu ka jahan
Sun ja dil ki dastaan
Sun ja dil ki dastaan
Sun ja dil ki dastaan

Chandni Raatein Pyar Ki Baatein Song Detail

Song : Chandni Raatein Pyar Ki Baatein



Album : Jaal (1952)

Singer :

Hemant Kumar,

Lata Mangeshkar

Musician :
S. D. Burman

Lyricist :
Sahir Ludhianvi