Khul kabhi to, khul kabhi kahin

Main aasmaan, tu meri zameen

Boond-boond barsun main

Paani-paani khelun-khelun aur beh jaaun

Geele-geele hothon ko main

Baarishon se choomun-choomun aur keh jaaun

Tu.. zameen hai, tu.. meri zameen

Khul kabhi toh, khul kabhi kahin

Main aasmaan, tu meri zameen

Mmmm…

Lab tere yun khule jaise harf thhe

Honth par yun ghule jaise barf thhe

Aana zara-zara main haule-haule

Saans-saans senk doon tujhe

Lab tere yun khule jaise harf thhe

Honth par yun ghule jaise barf thhe

Tu hi tu hai, main kahin nahi

Hmm.. khul kabhi to, khul kabhi kahin

Hmm.. main aasmaan, tu meri zameen

Jhuk ke jab jhumka main choom raha tha

Der tak gulmohar jhoom raha tha

Jal ke main sochta tha:

Gulmohar ki aag hi mein phenk doon tujhe

Jhuk ke jab jhumka main choom raha tha

Der tak gulmohar jhoom raha tha

Tu meri kasam, tu mera yaqeen

Khul kabhi toh, khul kabhi kahin

Main aasmaan, tu meri zameen

Boond boond barsun main

Paani-paani kehlun-khelun aur beh jaaun

Mmm.. geele-geele honthon ko main

Baarishon se choomun-choomun aur keh jaaun..