Paas aaye

Dooriyaan phir bhi kam naa hui

Ek adhuri si hamari kahani rahi

Aasmaan ko zameen, ye zaroori nahi

Jaa mile… jaa mile

Ishq saccha wahi

Jisko milti nahi manzilein… manzilein

Rang thhe, noor tha

Jab kareeb tu tha

Ek jannat sa tha, yeh jahaan

Waqt ki ret pe kuch mere naam sa

Likh ke chhod gaya tu kahaan

Hamari adhuri kahani

Hamari adhuri kahani

Hamari adhuri kahani

Hamari adhuri kahani

Khushbuon se teri yunhi takra gaye

Chalte chalte dekho na hum kahaan aa gaye

Jannatein agar yahin

Tu dikhe kyun nahin

Chaand suraj sabhi hai yahaan

Intezar tera sadiyon se kar raha

Pyaasi baithi hai kab se yahaan

Hamari adhuri kahaani

Hamari adhuri kahaani

Hamari adhuri kahaani

Hamari adhuri kahaani

Pyaas ka ye safar khatam ho jayega

Kuch adhura sa jo tha poora ho jayega

Jhuk gaya aasmaan

Mill gaye do jahaan

Har taraf hai milan ka samaa

Doliya hain saji

Khushbuein har kahin

Padhne aaya Khuda khud yahaan

Hamari adhuri kahani

Hamari adhuri kahani

Hamari adhuri kahani

Hamari adhuri kahani