Singer: Mahendra Kapoor

Lyrics: Rajendra Krishan

Music: Kalyanji-Anandji
Music Label: Saregama Music

Lyrics:

Hey ramchadra keh gaye siya se

Hey ramchadra keh gaye siya se

Aisa kaljug aayega

Hans chugega daana gun ka

Hans chugega daana gun ka

Kauwa moti khayega

Siya ne puchha bhagwan

Kalajug mein dharam

Karam ko koi nahi maanega

To prabhu bole

Dharam bhi hoga karam bhi hoga

Dharam bhi hoga karam bhi hoga

Parantu sharam nahi hogi

Baat baat mein maat pita ko

Baat baat mein maat pita ko

Beta aankh dikhayega

Hey ramchadra keh gaye siya se

Raaja aur praja dono mein

Hogi nisdin kheenchataani, kheenchataani

Kadam kadam par karenge dono 

Apni apni manamaani, manamaani

Hey jiske haath mein hogi laathi

Jiske haath mein hogi laathi

Bhens wahi le jaayega

Hans chugega daana gun ka

Hans chugega daana gun ka

Kauwa moti khayega

Hey ramchadra keh gaye siya se

Suno siya kalajug mein kaala

Dhan aur kaale mann honge, kaale mann honge

Chor uchakke nagar seth aur

Prabhu bhakta nirdhan honge, nirdhan honge

Hey jo hoga lobhi aur bhogi

Jo hoga lobhi aur bhogi

Woh jogi keh laayega

Hans chugega daana gun ka

Hans chugega daana gun ka

Kauwa moti khayega

Hey ramchadra keh gaye siya se

Mandir soona soona hoga

Bhari rahengi madhushala, madhushala

Pita ke sag sag bhari sabha mein 

Naachengi ghar ki bala, ghar ki bala

Kaisa kanyadaan pita hi

Kaisa kanyadaan pita hi

Kanya ka dhan khayega

Hans chugega daana gun ka

Hans chugega daana gun ka

Kauwa moti khayega

Hey ramchadra keh gaye siya se

Hey ramchadra keh gaye siya se

Aisa kaljug aayega

Hans chugega daana gun ka

Hans chugega daana gun ka

Kauwa moti khayega

Hey murakh ki preet buri 

Juwe ki jeet buri

Bure sang baith chain bhage hi bhage

Bhage hi bhage

Hey kajal ki kothari mein

Kaiso hi jatan karo

Kajal ka daag bhai laage hi laage re bhai 

Kajal ka daag bhai laage hi laage

Ae kitna jati ho koi kitna sati ho koi

Kaamni ke sang kaam jaage hi jaage

Jaage hi jaage

Ae suno kahe gopi ram

Jiska hai naam kaam

Uska to phad gale laage hi laage re bhai 

Uska to phad gale laage hi laage