Singer: Himani Kapoor

Lyrics: Hasan Kamaal

Music: Paras Nath
Music Label: Sufiscore

Lyrics:

Faza bhi hai jawaan jawaan

Hawa bhi hai ravaan ravaan

Suna raha hai yeh samaa

Suni suni si daastan

Faza bhi hai jawaan jawaan

Pukaarte hain door se

Woh kaafile bahaar ke

Bikhar gaye hain rang se

Kisi ke intezaar pe

Lehar lehar ke hoth par

Wafa ki hai kahaniyan

Suna raha hai yeh samaa

Suni suni si daastan

Bujhi magar bujhi nahi

Na jaane kaisi pyaas hai

Qaraar dil se aaj bhi

Na door hai na paas hai

Yeh khel dhup chhaon ka

Yeh kurwatein yeh dooriyan

Suna rahaa hai yeh samaa

Suni suni si daastan

Har ek pal ko dhundhta

Har ek pal chala gaya

Har ek pal firaaq ka

Har ek pal visaal ka

Har ek pal guzar gaya

Bana ke dil pe ik nishaan

Suna raha hai yeh samaa

Suni suni si daastan

Faza bhi hai jawaan jawaan

Hawa bhi hai ravaan ravaan

Suna raha hai yeh samaa

Suni suni si daastan

Faza bhi hai jawaan jawaan