Father Saab Lyrics in English by Amit Bhadana is a latest Hindi song sung by King. The song “Father Saab” is featuring Amit Bhadana. Music composed by Section 8 and Father Saab Lyrics written by King.

Father Saab song details:

Song: Father Saab
Singer: King
Lyrics: King
Music: Section 8
Cast: Amit Bhadana
Label: Amit Bhadana

Father Saab Lyrics

Amit beta!

Chal uth jaa

Aree kitne mahino ka soya hua hai

Amit!

Chalna nahi hai kya?

Abey mai hun

Pehchana nahi?

Tera baap

Bappu!

Re bapu, tune sikhaya jo kabhi bhula nahi

Galti na ho to suraj ki aankho me taad le

Jahan ko pade wo kadam ruke nahi

Soch aisi ho chattano ka bhi seena paad de

Logo se tere ghutne aaj tak teke ni gaye

Kyun ki aiso se kabhi ghamand ke kapde feke ni gaye

Or jo data raha aakhiri saans tak wo saathi hota hai

O sach ka khada bhi ek anek me beta kaafi hota hai

Or jo haq ke liye lade sabse wo baap hi hota hai

Peeth pe chadke duniya dikhe jiske wo baap hi hota hai

Or jo daante chahe maare par dil ka saaf hota hai

Zyada fikar na kare zamane ki wo baap hi hota hai

Baapu tеri khubi saari mujhme sama rakhi

O tere jaisi mainе ijjat kama rakhi

O jab farz uthaya zimmedariyon ka tabse hi dukhi maine kabhi nahi maa rakhi

Wo roz mujhme teri chavi dekha karti bapu

Parchaiyan shero ki kaha marti

Ek wajah hoti hai jo jeene ki bapu

Wo maa ki aankho me dikha karti

Tu nahi duniya me par teri baat rahe

Rampal fauji ke poto ki poori thaat rahe

O rakhke haath jo sar pe mita de gam saare

Baap hi hota hai

Sahi or galat me farak batave aisa baap hi hota hai

Or jo daante chahe maare par dil ka saaf hota hai

Zyada fikar na kare zamane ki wo baap hi hota hai

Re bapu aankh mile aasman se jab jab chehra tera dikhta hai

Mai roj ladun toofan se banda thehar kaha khinchta hai

Mai roj puchu bhagwaan se kyun tu saath nahi dikhta hai

Tu taras hi khake jagah batade khwaab jaha bikta hai

Kyun na wahi se hi jaake mai khareed lun

Mujhe maange se pyaar milta nahi

Par, tera hi diya hua sab rakha bhole

Bas mujhe baap dikhta nahi

Aaj tere bina bhi main

Teri hi nazro se duniya dekhta hoon

Mai aaj bhi tere na hone ka dukh

Ek haste hue chehre se lapet’ta hun

Baapu teri duaye kuch is tarah mere saath hai

Aaj dharti pe khada hoke main

Poore ka poora aasmaan samet’ta hun

Bapuuuuu

Bapuuuuu

Or jo daante chahe maare par dil ka saaf hota hai

Zyada fikar na kare zamane ki wo baap hi hota hai

Father Saab Video