Aye Kyon Chilla Rahee Hai Mere Ghar Mein

Yeh Mera Ghar Hai Mera

Aur Main Iss Ghar Ka Maalik

Ek Kamra Hai Ek Biwi Hai Aur

Aur Do Nabalik Dono Kalikh Saale

Bachpan Se Paale Kamaata Main Aur Khaate Yeh Phir Dete Mujhko Gaali Par Sirf

Yeh Daru Hai Jo Mujhko Samajhte Hai

Padosi Nasamajh Biwi Ko Bole Bechaari

Par Vo Meri Zimmedari Meri Pali Main Sher Par Ab Kuttepan Ki Meri Baari

Aye Sambhal Apne Bacche Ko

Saala Ise Wajah Se Mera Khisakta Dimag Jagah Se Mera Subah Se Ragadta Chadha

Andhera Ghar Baithke Inko Kama Ke de Raha

Jeena Haram Kar Rakha Hai Jaam Bhar Rakha Hai Kadwa Bhara Bathera Abe Kaise Chale Bina Dawa Ke Mera Kaam

Dus Hazaar Mein Se Chaar Hazaar to Aam Taur Par Daam

Teen Chaar Hazaar Baccho Ke Kharcho Mein

School Ki Fees Aur Bijli Ke Parcho Mein

Baki Saara Yeh Kahan Udati Hai

Samajh Nahi Aata Yeh

Baasi Jo Parso Ka Khaana Khilati Hai

Feeka Tadakti Hai Pani Ya Sarso Mein Aur

Meethe Mein Milti Bas Mujhko Khataas

Udusi Ye Maalik Ki Nikle Mulazim Pe Banke Bhadaas

Abe Jaati Kahan Hai Aa Paas

Abhi Toh Baaju Tutegi

Aankhe Neeli Aur Tu Kam Nahi Sujegi

Chamde Ki Belt Se Chamdi Udh Degi

Langdi Chalegi Teri Ammi Puchhegi Ki

Ghar Mein Chal Raha Kalesh to Nahi

Chal Bhi Raha Hai to Seh Le Tu Beti

Karne Ki Sochio Case Tu Nahi

Padosi Kya Bolenge Izzat Hamari Bhi Tere Hi Hatho Mein

Maike Ki Kario Bezzati Nahi (Hahaha)

Waise Bhi Patni to Pati Vrata

Aur Sati Pratha Thi Apni Hi Den Videsh Ki Nahi

Abe Kya Kar Rahi Hai

Apne Baap Ko Phone Mila Rahi Hai

Laa Idhar Main Milata Hun

Kitne Thappad Tujhe Aaj Tak Marein

Kitne Aur Maarunga Aaja Main Ginata Hun

Ja Aegi Kahan Tujhe Samajh Nahi Aata   Mujhse Hi Palti Hai

Tujko Aur Tere in Mariyal Se Pillo Ko Main Khilata Hun

Chilla Haan Aur Chilla

Awaaz Mein Dard Thoda Aur Mila

Arre Ye Log Bachaenge Tujko Kya Jinke Buzurgo Ka Bachkana Formula

Inko Premi Dikhe Toh Ye Maarte Bolte Paas Se Ek Aad Ko Aur Bula

Aur Dikhe Koi Jhagda Toh Bole Ke Jaane Do

Ghar Ka Hai Mamla

Darr Ka Yeh Samna

Ek Aurat Ke Liye Toh Normal Hai

2005 Mein Law Bana

Gharelu Hinsa Jitni Rapat Mein Jati

Asal Mein Hoti Hai Sau Guna

Aur Chalta Hi Rahega Tabtak Yeh Jabtak

Samjhenge Nahi Yeh Naujawan Ki

Pati Ka Patni Pe Poora Haq Hota Hai

Phir Chahe Kuch Bhi Kare Usko Gunah Na Maan

Chahe Vo Thappad Maare Ya Mukke

Woh Pyaar Kare Ya Thuke

Aye Kya Kar Rahi Hai  Sariya Hai Mujhko Lag Jayegi Ruk Be

Shayad Bachpan Se Maine Yeh Dekha Tha

Dada Ne Dadi Ko Peeta Tha

Baap Ne Maa Ko Ghaseeta Tha

Behen Ko Bolte Paraya Dhan Aur Main

Raja Ke Tarah Hi Jeeta Tha Kyunki Main Beta Tha

Shayad Shayad Shayad Main Hi Itna Kamzor Tha Ki Apni Nakami Ka Bojh Utha Na Saka Tabhi Teri Saadgi Ka Fayda Uthaya

Shayad Shayad Main Hi Itna Kamzor Tha Ki Tereko Tereko Gulaam Samjha Jabki Ghar Mein Devi Devi Bolke Laya Laya