Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye Lyrics from Pyaasa is Hindi song in the voice of Mohammed Rafi. Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye song lyrics are written by Sahir Ludhianvi, its tune is made by S D Burman.

Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye Lyrics

Yeh mehlon yeh takhton yeh tajon ki duniya
Yeh insaan ke dushman samajon ki duniya
Yeh mehlon yeh takhton yeh tajon ki duniya
Yeh insaan ke dushman samajon ki duniya

Yeh daulat ke bhookhe ravajon ki duniya
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai

Har ek jism ghayal har ek rooh pyaasi

Nigahon mein uljhan dilon mein udaasi
Yeh duniya hai ya aalam-e badhawasi
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai

Jahan ek khilona hai insaan ki hasti
Yeh basti hai murda paraston ki basti
Yahan par jeevan se hai maut sasti
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai

Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai

Jawani bhatakti hai badkaar bankar
Jawan jism sajte hain bazaar bankar
Jahan pyar hota hai vyapar bankar
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai

Yeh duniya jahan aadmi kuchh nahi hai
Wafa kuchh nahi dosti kuchh nahi hai
Yeh duniya jahan aadmi kuchh nahi hai
Wafa kuchh nahi dosti kuchh nahi hai
Jahan pyar ki kadra hi kuchh nahi hai
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai

Jala do ise phoonk daalo yeh duniya
Jala do jala do
Jala do ise phoonk daalo yeh duniya
Mere samne se hata lo yeh duniya
Tumhari hai tum hi sambhalo yeh duniya
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai

Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye Song Detail

Song : Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye



Album : Pyaasa (1957)

Singer :

Mohammed Rafi

Musician :
S. D. Burman

Lyricist :
Sahir Ludhianvi