Jab Aa Hi Gaye Hain Dar Pe Lyrics from Kahin Din Kahin Raat is Hindi song in the voices of Asha Bhosle, Badrinath Pawar, Mahendra Kapoor, Shankar Dasgupta. Jab Aa Hi Gaye Hain Dar Pe song lyrics are written by S H Bihari, its tune is made by O P Nayyar.

Jab Aa Hi Gaye Hain Dar Pe Lyrics

Woh jinke naam ka
Mehfil mein koyi jaam na tha
Unhein bhi aaj to
Peene ka dhang aa hi gaya

Tera sitam hai ke
Tera karam khuda jaane
Kisi bahane to
Jeene ka dhang aa hi gaya

Jab aa hi gaye hain dar pe tere
Kuchh karke yahan se jayenge
Ya apni muradein payenge
Ya marke yahan se jayenge
Jab aa hi gaye hain dar pe tere

Daulat ke nashe mein choor hai kyun
Insaan se nazrein pher nahi
Daulat ke nashe mein choor hai kyun

Insaan se nazrein pher nahi
Bhagwan ke ghar mein der to hai
Naadan magar andher nahi
Naadan magar andher nahi

Insaaf ki chakki mein ek din
Insaaf ki chakki mein ek din
Sab log yahan pis jayenge

Jab aa hi gaye hain dar pe tere
Kuchh karke yahan se jayenge
Ya apni muradein payenge
Ya marke yahan se jayenge
Jab aa hi gaye hain dar pe tere

Duniya ke khazane tu hi bata
Woh kaun the jiske saath gaye
Duniya ke khazane tu hi bata
Woh kaun the jiske saath gaye
Apni to nazar mein chhote bade
Sab log hi khaali haath gaye
Sab log hi khaali haath gaye

Tu lakh na samjhe phir bhi tujhe
Tu lakh na samjhe phir bhi tujhe
Yeh baat magar samjhayenge

Jab aa hi gaye hain dar pe tere
Kuchh karke yahan se jayenge
Ya apni muradein payenge
Ya marke yahan se jayenge
Jab aa hi gaye hain dar pe tere

Kab chain se jeene dengi tujhe
Mazloom gareebon ki aahein
Kab chain se jeene dengi tujhe
Mazloom gareebon ki aahein
Kaaton mein ghaseetengi tujhko
Teri hi banai yeh raahein
Teri hi banai yeh raahein

Hum dard se apne tadpenge
Hum dard se apne tadpenge
Tujhko bhi magar tadpayenge

Jab aa hi gaye hain dar pe tere
Kuchh karke yahan se jayenge
Ya apni muradein payenge
Ya marke yahan se jayenge
Jab aa hi gaye hain dar pe tere

Jab Aa Hi Gaye Hain Dar Pe Song Detail

Song : Jab Aa Hi Gaye Hain Dar Pe



Album : Kahin Din Kahin Raat (1968)

Singer :

Asha Bhosle,

Badrinath Pawar,

Mahendra Kapoor,

Shankar Dasgupta

Musician :
O. P. Nayyar

Lyricist :
S. H. Bihari