D escription: Song: Raksha Bandhan (Title Track) Movie: Raksha Bandhan Singer: Shreya Ghoshal Lyrics: Irshad Kamil Music: Himesh Reshammiy…

Raksha Bandhan (Title Track) Lyrics – Shreya Ghoshal – Raksha Bandhan (2022)

Raksha Bandhan (Title Track) Lyrics – Shreya Ghoshal – Raksha Bandhan (2022)

 

Description:

Song: Raksha Bandhan (Title Track)

Movie: Raksha Bandhan

Singer: Shreya Ghoshal

Lyrics: Irshad Kamil

Music: Himesh Reshammiya
Music Label: Zee Music Company

Lyrics:

Pehli yaari tumse meri

Pehla ghussa tumse tha

Bhai mere bachpan ka to

Poora kissa tumse tha

Aadha hissa tha woh mera

Aadha hissa tumse tha

Bhai mere bachpan ka to

Poora kissa tumse tha

 

Raksha bandhan waada hai

Ya dhaaga hai pyar ka

Oh dhaaga hai pyar ka

Thoda sa hai chandan

Chota sa hai teeka

Bandhan zindagi ka

Raksha bandhan waada hai

Ya dhaaga hai pyar ka

Oh dhaaga hai pyar ka

 

Saat rang sacche sabhi

Kab hue hain kacche kabhi

Dekhne ko naazuk hain

Par tootti na dooriyan

Chahaton ki jhaanki mile

Chithiyon mein rakhi mile

Bhoolti kabhi na behne

Ho hazaar dooriyan

Raksha bandhan waada hai

Ya dhaaga hai pyar ka

Oh dhaaga hai pyar ka

Maa ki ek parchhayi si

Behan mein dikhayi deti

Aur pita nazar aate hain

Bhaiyon ki baat mein

Khoon ka yeh rishta bhi hai

Hai zubaan ka naata bhi

Maan jo liya bhai to

Saans saans saath mein

Raksha bandhan waada hai

Ya dawa hai pyar ka

Oh dawa hai pyar ka

Thoda sa hai resham

Thoda sa hai meetha

Bhandhan zindagi ka

Raksha bandhan waada hai

Ya dhaaga hai pyar ka

Oh dhaaga hai pyar ka