Apni Prem Kahaniyan Lyrics from Mera Gaon Mera Desh is sung by Lata Mangeshkar. Apni Prem Kahaniyan song lyrics are written by Anand Bakshi while its music is given by Laxmikant Pyarelal.

Apni Prem Kahaniyan Lyrics

Haaye sharmaun
Haaye sharmaun

Haaye sharmaun kis kis ko bataun
Aise kaise main sunaun sabko
Apni prem kahaniyan
Apni prem kahaniyan
Baalma ki zalima ki
Haaye teen nishaniyan

Haaye sharmaun kis kis ko bataun
Aise kaise main sunaun sabko
Apni prem kahaniyan
Apni prem kahaniyan

Pehli nishani
Main hoon jiski diwani
Pehli nishani
Main hoon jiski diwani

Rut jaisi tufani
Aisi uski jawani
Rut jaisi tufani
Aisi uski jawani mastani
Uske aage pheeki laage
Haaye sabaki jawaniyan

Haaye sharmaun kis kis ko bataun
Aise kaise main sunaun sabko
Apni prem kahaniyan
Apni prem kahaniyan

Kurta hai neela
Rang pagdi ka peela
Kurta hai neela
Rang pagdi ka peela
Roop uska kateela
Aisa hai woh chhabeela
Roop uska kateela
Aisa hai woh chhabeela rangeela
Chaal sharabi rang gulabi
Te akhan mastaniyan

Haaye sharmaun kis kis ko bataun
Aise kaise main sunaun sabko
Apni prem kahaniyan
Apni prem kahaniyan

Aankhon ko meeche
Dekho saanson ko kheenche
Aankhon ko meeche
Dekho saanson ko kheenche
Wahan peepal ke neeche
Mele mein sabse peechhe
Wahan peepal ke neeche
Mele mein sabse peechhe
Khada hai
Neend udaye chain churaye
Te kare beimaniyan

Haaye sharmaun kis kis ko bataun
Aise kaise main sunaun sabko
Apni prem kahaniyan
Apni prem kahaniyan
Baalma ki zalima ki
Haaye teen nishaniyan

Haaye sharmaun kis kis ko bataun
Aise kaise main sunaun sabko
Apni prem kahaniyan
Apni prem kahaniyan

Apni Prem Kahaniyan Song Detail

Song : Apni Prem Kahaniyan



Album : Mera Gaon Mera Desh (1971)

Singer :

Lata Mangeshkar

Musician :

Laxmikant Pyarelal

Lyricist :

Anand Bakshi